एंड्राइड मोबाइल के लिए इससे बेहतरीन स्क्रीन रिकॉर्डर कही नही मिलेगा
एंड्राइड मोबाइल के लिए इससे बेहतरीन स्क्रीन रिकॉर्डर कही नही मिलेगा |
Namaste dosto, ham sabhi jante hai ki aajkal har kisi ke pass Android Smart Phone paye jaate hai. lekin pahle aur aaj me bahut sa badlav hame dekhne ko mila hai. pahle itna techlology ka vikash nahi hua tha.
Pahle smart phone se itne kam nahi hote the. Agar aaj ki Technology ki baat kare to aaj Smart Phones me hum vo sab kuch kar sakte hai jo pahle ek Laptop ya PC se hota tha. Chahe to Photo Editing ho ya Video Editing ham sabhi kam apne Android Mobile se kar sakte hai.
dosto aaj ki is post me ham janenge ki apne android mobile ki screen ko record kar ke ham video kaise bana sakte hai. kyonki bahut se log youtube me channel bana rahe hai aur unka mujhe se ek hi sawal hota hai ki hum apne android mobile ki screen ko kaise record kar sakte hai. to chaliye dosto jante hai ki hum aisa kaise kar sakte hai.
Android Mobile Ki Screen Record Kaise Kare
Android Phone ki Screen Record karne ke liye niche maine apko kuch App ke bare me bataya hai.
- AZ Screen Recorder
AZ Screen Recorder ye bohut popular ek free screen record app hai aap isko aapne mobile par install karke asani se aapne mobile screen ko record kar sakte hai. isme jyada option nahi diye gaye jo ki ise use karne ko asan banata hai. isme apko ek record ka button milega jis pe click kar ke aap screen recording start kar sakte hai. is app ko aap google play store se free me download kar sakte hai. maine isko use kiya hai aur mujhe kafi pasand aaya ye app aap bhi use kar sakte hai.
- ADV Screen Recorder
Ye App bhi kafi Popular hai Screen Ricording ke liye. Iske feature ki bat kare to aap video record karte samay video ko pause bhi kar sakte hai. ye full HD me video record kar sakta hai aur isko use karna bhi easy hai. agar aap ise use karna chahte hai to google play store se ise download kar sakte hai.
- Mobizen Screen Recorder
Is App ki khas baat ye hai ki iska low version bhi google play store pe available hai jis se ki agar apka phone purane OS ka bhi ho to us me bhi ye asani se chal jayega. Lekin apko app download aur install karte samay virsion ko dhyan me rakhna hoga. Iske other feature ki baat kare to iske jariye aap apne PC me apne phone ko mirror bhi kar sakte hai. ye bhi full HD me screen ko record kar sakta hai aur baki app ki tarah ise bhi use karna behad aasan hai. baki aap khud ise try kar ke dekh sakte hai ki isme aur kya – kya feature diye gaye hai.
Dosto mujhe jo App achhe lage Screen Recording ke liye vo maine apko bata diya hai, agar apko aur bhi aise koi app ke bare me pata ho to niche comments ke jariye ham sab ko bata sakte hai.
No comments:
Post a Comment